Monday, November 24, 2014

Skin care Tips in Urdu | Jild ki aqsaam or elaj

Skin care Tips in Urdu | Jild ki aqsaam or elaj
skin in Urdu :
 Jild ke bare mein amuman yeh tasur aam hai keh yeh jisam ki khaal hai jis ne pure jism ko dhanp rakha hai. be shak jild jism ka ahum hissah hai. hamare andaruni nizam ki hifazat ke liye qudrat ne ise is tarh ba-tor hifazati deewar design ki hai keh bahir ke infection ya germs andaruni aaza ko mutasir na kar sakein. Yeh hamein na sirf mukhtalif bacteria se bachati hai balkeh jism ke darjah hararat ko bhi etedaal par rakhti hai. Agar aisa na ho to sardiyon mein insane thand se yakh bastah aur garmiyon mein jhulas kar rah jaye . Yahi jild degar afyaal ke elawa sans lene mein bhi madad gar hai.
  skin or Jild ki aqsaam:
 Insani jild teen aqsaam par mushtamail hai. chikni, khushk aur motwazan aur teenon hi khaas dekh bhal aur towajjah chahti hai.
  Chikni jild:
yeh khushk aur motwazan ya makhloot jild se behtar hoti hai lekin had se ziadah chiknayi is jild mein kale dane, mail (durty), jhurriyan aur degar masail paida kardeti hai. Is jild ki sab se achi baat yeh hai keh dhoop aur hawa is par asar andaz nahi hoti. No umer larke larkiyan ki jild aam tor par chikni hoti hai aur inhein is ki safayi ka khaas kheyal rakhna chahiye. Is ki wajah yeh hai keh gard-o-ghubar chikni jild par jam jata hai. Agar is jild ki safayi ka khas kheyal na rakha jaye to mosamaat band ho sakte hain aur band hone ke baad kale daanon (Black Heads) ki surat, chehre aur badan par zahir ho kar bad numa bana sakte hain. Chikni jild ki hefazat ke liye aisi ashya, istemaal karne chahiye, jo jild ko khushk karne ki salahiyeat ki hamil hon, ya jin se jild mein khechao ya khushki paida ho. Maslan chikni jild wale logon ko roghanyat se monh haath dhone ke bajaye sabun aur pani se dhona chahiye. Daagh ho jayein to in ke khatme ke liye medicine aamez sabun istemaal karein, jo mahir-e- mualij jild ke masware se muntakhab kia jasakta hai. band masamat kholne ke liye bhap, khas tor par chikni jild ke liye behtareen elaaj hai. Agar chikni jild ko tawazan ki halat mein lana hai, to ghiza mein bhi tabdili zaruri hogi. Khas tor par muraggan aur tale huye khanon se munh morna hoga aur sabz tarkariyon (sabziyon) ka istemaal barhana hoga. Kuch sabziyan maslan khira, kakri, carrot, muli, leman, aur tomato kachi surat mein khana be had faidah mand hai. dahi ka istemaal bhi behtareen hai, isi tarah khane , ghee ke bajaye cooking oil mein pakayain to behtar hoga.
  Khushk jild:
 Khushk jild se nami khatam ho jaye, to jild khushk hojati hai. sardiyon mein bhi faza mein khushki barh jati hai, jis se khushk jild wale be had mutasir hote hain, in ki jild jagah jagah se phat jati hai, jis ki wajah se hath, payon khas tor par, chehre bad numa dekhayi dene lagta hai. khusk jild ki hifazat ka ahum asul intehayi ahtiyat hai yaani jism mein jo bhi thori buhat chiknayi baaqi rah gayi hai ise zaya hone se bachana chahiye. Dekh bhal mein zara si bhi kotahi ka nateejah jild par daagh dhabon ki surat mein zahir ho sakta hai. khushk jild ko chiknayi bahum punchane ke liye din mein do teen bar aisi cream ya lotion lagayain jis mein chiknayi ki moqdar ziadah ho, isi tarah dhoop mein ghumne phirne se parheiz kia jaye. Pighle huye butter mein doodh mila kar lagane se bhi khushk jild mein narmi-o-molaimat layi ja sakti hai. khushk jild wali khawateen, make up karne se pehle jild mein nami lane ke liye koi acha arq istemaal kar sakti hain. Khushk jild ka aik faidah yeh bhi hai keh chehra keel, mahason se bacha rehta hai lekin jild ki munasib dekh bhal na ki jaye, to chera be ronaq aur rukha phika ho sakta hai.
  Motwazan Jild:
Jild hamare jism ka ahum hissah hai is ki hifazat ka pehla asool to yahi hai keh ise kam se kam chera jaye aur is ki khas dekh bhal bhi ki jaye . Ache sabun aur lotion ka intekhab kia jate. Bazaar mein dasteyab ziadah tar sabun chemical aur khushbu wale ijza se bane hote hain, jo jild ki sehat ke liye kisi bhi tor faidah mand nahi. Sabun hamesha wo acha hai, jis mein chemical ke ijza, na hon ya nehayat kam hon, kiun keh aisa sabun jild ko noqsan nahi punchata. Jin khawateen ki jild khushk ho to inhain aisa sabun istemaal karna chahiye, jis mein glasreen ki moqdar ziadah ho takeh jild ko chiknayi mayassar aasake. Isi tarah, sabun ke jhag bana kar ziadah der tak malna nahi chahiye. Behtar tareeqah yeh hai keh sabun munh par laga lia aur halke hathon se cherah achi tarah pani se dho lia. Isi tarah sadah pani ke chinte munh par marne se jild ke niche ki rawani behtar hojati hai aur chehre par nikhar aata hai. Chehre ko kabhi bhi towel se ragar ragar kar saf nahi karna chahiye. Din bhar mein 5, 6 bar pani se munh hath dhone se qudari chiknayi zaya nahi hoti. Jo log pabandi se panch waqt ki namaz ada karte hain, to panch bar wazu karne se bhi in ki jild ki qudarati chiknayi bar-qarar rehti hai aur in ki jild saaf, shafaf aur nikhri rehti hai. aise logon ka cherah tar-o-taza hota hai aur chehre ka husn apni jagah alag hi dekhayi deta hai.

Skin care Tips in Urdu | Jild ki aqsaam or elaj,skin care tips for winter, sardiyoon mian jild ki hifazat, get fair skin in 7 days,rough skin in winter,dry skin in winter,cracks on skin,

No comments:

Post a Comment