Saturday, July 5, 2014

Asthma treatment in urdu | DAMA KA 100% ILAJ |

Amoman allergy ki waja se jo dama lahiq hota hai is me IGE level kafi had tak barh jata hai or mariz ko dama ka hamla jaldi jaldi hone lagta hai nez is ki shidat me bhi izafa hone lagta hai. dama ek allergic kefiyat hoti hai jab koi kharashdar mada phepheron ki hawa ki naliyon me pohnchta hai to ye naliyan matoram ho jati hai in me se balgam kharij hone lagta hai or phir sans ki naliyan itni tang ho jati hain k sans lene ek dushwar or mohlik amal ban jata hai. sans lene ke doran balgam ki khar kharahat paida hoti hai mariz ko sans lene me mushaqat se do char hona parta hai or wo musalsal hanpne lagta hai. jis mariz ko ye marz lahaq hota hai use sans kharij karne me shadid dushari ka samna hota hai or bar bar sans pholne ki shikayat rehne lagti hai. dama chunke allergy ke sabab hone wali ek beqaidgi hi or mahol me be shumar allergen hote hain jese gard ya dol, pholon ke zardane wagera. Ye awamil amoman aam afrad me kisi bimari ka sabab nahi banta lekin dame ke marizon ke lye ye shadid rade amal ka bais bante hain. Aese afrad ko agar in allergen se samna ho jae to un ke jisim ka madafti nizam shadid rade amal ka izhar karta hai or ye rade amal jisim ke madafti nizam ke khalyat zahir karte hain. Wo mukhtalif noiyat ke chemical kharij karne lagte hain jin ke bais phephron me sojan ho jati hai or hawa ki naliyon me gharhi ratobat kharij hone lagti hai. is ke natije me hawa ki guzar gahen tang hone lagti hain or sans lena dushwar ho jata hai.
Alamat ki sangini ka inhesar is bat pr hai k hawa ki ye guzar gahen kitni tang ho chuki hain is lye shadid kefiyat me agar bar waqt imdad na mil sake to phephron tak na kafi hawa pohnchne ki sorat me mot bhi waqa ho sakti hai.
Dunya bhar me dame ki bimari barhti ja rahi hai is arze ki alamat me waqfe waqfe se izafa hota rehta hai jabke kuch marizon me bazahir koi alamat zahir hi nahi hoti or dame ka marz lahaq ho jata hai. ye bhi ek haqiqat hai k agar dame ki alamat boht zyada arsa tak mojud rahen or in ka munasib elaj na kya jae to phir hawa ki guzar gahon me aesi tabdiliyan ronuma ho jati hai jin ka elaj mushkil ho jata hai is lye ye zarori amar hai k dame ki munasib tashkhiz ke bad fori tor pr is ke elaj mualje ki taraf dhayan dya jae. Bachon me dama ki alamat ya hidden asthma yani pehchan me na ane wala dama ki bari waja allergy hai. allergy se mutasira bache aam bezarar chezon se zyada mutasir hote hain.

Dame Ki Alamat:

Dame ke elaj ke lye pehla qadam durst tashkhiz hai amoman jo alamat dame ki taraf ishara karti hain wo mundarja zel hain.
1.   Khansi
2.   Sans ki tangi
3.   Sine ki jakran
4.   Sans lete waqt siti ki awaz ana
5.   Bachon me khansi ke sath ulti ka hona
6.   Rat or subha ke oqat me alamat me zyadti hoti hai.
7.   Sine ki infection bar bar hoti hai
8.   Nak ke nathnon ka pholna jab sans lya jata hai bilkhasos bachon me ye alamat aam hai
9.   Jisim me kub nikal ane ka andaz
10. Dorane nind becheni hoti hai
11. Sakht khel kod or kaam ke bagair thakan
12. Bachon me pasliyon ke darmiyan jaga banna ye jaghen dhans sakti hain jab bacha andar sans leta hai.
Baz marizon me ek waqt me 1, 2 alamat jabke kuch me ek waqt me kai alamat bek waqt mojud ho sakti hain. Is lye koshish karni chahye k jonhi chand alamat ka zahor ho foran mustand mualij se rabta Karen. 

Dame Ki Tashkhiz:

Dama ke marz ke barwaqt elaj ke lye zarori hai k is ki tashkhiz barwaqt ho jae q k is arze ki amoman zahir hone wali alamat digar bimariyon ki bhi alamat ho sakti hain jese phephron ke amraz sans ki nali me koi chez chale jana ya tambaco noshi wagera. Is lye jonhi dame se mutaliqa alamat zahir ho to fori tor pr mualij se rabta kar ke tashkhisi zarae istamal karne chahye. Is silsile me sans ka test (pekfloret) chest radio graph or skin allergy ya khon ka test zaror karana chahye.
Dame ke doron se bachne ke lye zarori hai k aese halat se bacha jae jo k dame ki kefiyat ko barhane ka sabab hote hain. Ye awamil allergen ya kharish paida karne wale hote hain. Gharelo gard ek aam allergen hai is me chote chote kire pae jate hain jo k sans ki naliyon me ja kar dame ki kefiyat paida karne ka mojib bante hain. Is ke elawa qalinon, dabez pardon, purane gadon or narm kiron se bane hue khilonon me bhi ye kire kasir tadad me hote hain. Qalin biche hue kamre jin me air-conditioned bhi hota hai wahan pr ye kire zyada tadad me mojud hote hain q k kiron ki afzaish me thandak or name or suraj ki roshni or tapish na pohnchna aham kirdar ada karte hain. 

Aese afrad jin me dame ki kefiyat paida hone ka khadsha ho unhen chahye k ghar ke andar aese halat paida hone ke khilaf munasib amal Karen. Is maqsad ke lye ghar ke farash ko rozana dhona chahye dabez or bhari pardon ki jaga halki or asani se dhoe jane wale parde or blinds istamal karne chahye. Bister ke gade ko plastic ya might proof core se dhanpna chahye. Kapron se banae gae khilonon ko ya to machine se achi tarha dho lena chahye ya phir unhen ghar me rakhna hi nahi chahye.
Ghar ke bahir allergen paida karne wale anasir me ghans or darakhton or pholon ke zardane hote hain or un ki waja se amoman mosmi dama ya allergy ki kefiyat paida hoti hai. is ke elawa lal beg or digar hashratul arz allergy ya dama paida karne ka ek aham sabab mana jata hai.  
Aese ghar jin me andar dogs cats or digar janwaron ki rehaish ho wahan pr bhi allergy paida hone ka khadsha rehta hai is lye koshish karni chahye k janwaron ko rehne wali jaga pr na ane dya jae. Tambaco ka duwan, gariyon ka duwan, taza paint, kire mar adoya ka sparay, perfume ya air freshener ka sparay karne se bhi dame ki kefiyat me izafa hota hai.
Darja hararat or nami ke tanasub me achanak tabdili bhi dame ki kefiyat ko bad tarin bana sakti hai. aese walidain jo k cigrate noshi karte hon un ke bachon me tambaco noshi na karne wale walidain ke bachon ki nasbat dama ke nasbatan zyada imkanat pae jate hain. Tambaco noshi dame ke marizon ke lye intehai muzir hai is lye unhen har sorat me khud bhi tambaco noshi se parhez karna chahye or aese mahol me bhi zyada dair tak nahi rehna chahye jahan tambaco noshi ho rahi ho.
Dame ke mariz ko mutawazan giza ka istamal karna chahye ta k doron ka tasalsul tot sake. Mariz ko hamesha aesi sehat bakhsh giza ka intekhab karna chahye jis ka beshtar hisa phalon or sabziyon pr mushtamil ho. Gizai adat ke bare me boht si galat fehmiyan raij hain jo k amoman saqafti aqaid ke sabab hain or un ka haqiqat se koi taluq nahi hota. Ek mutawazan giza jis me munasib gizai ajza badarja tam mojud hon dama ke mariz ke lye behtrin hai.

Dama Ka Homeopathic Ilaj

Arj zel homeopathic adoya dame ke elaj ke lye mufid or mustand hain hasbe alamat adoya ke istamal se boht jald behtari waqa hone lagti hai.
Ipecac 30.
Bavhon ke dama ke lye mufid dawa hai. khasosan tashkhiji dama ki jabke sina pr zyada bojh or tashwish ho to nafa dawa hai. yakayak tokah dami ki kefiyat tari ho jae to ye dawa zaror azmani chahye q k isi ek dawa se amoman masla hal ho jata hai. jab mariz ka dam ghutne lage or harkat se taklif me zyadti ho to yaqini tor pr ye dawa mufid sabit hoti hai.
Antimonium tart 30
Ye dawa bhi dama ke lye boht shohrah rakhti hai is ki khas alamat me sina me balgam ki khar kharahat pai jati hai jis ke sath kotah dami ki kefiyat mojud hoti hai. ye dawa bachon or burhe afrad ke lye mufid dawa hai.

Alumen 30, 200 Chati me intehai kamzori borhe afrad ka dama subha ke oqat me bhar pure miqdar me rasi dar balgam ka akhraj ho jis ke sath khon nikle. Mariz ko daen janib letne se dharkan ki shikayat ho. Mariz zidi qisim ki qabz ka shikar ho or kai roz tak ajabat ki khawahish hi na ho to aksir dawa hai. pakhane me amoman sange mar mar ki tarha ke dhele kharij hote hain. Shaded chakar jis ke sath dimag pr halka sa falij mehsos ho to nafa dawa hai. is dawa ke mariz ko raqiq ashya ke nigalne pr taklif hoti hai. 



Blatta Orientalis 200

Ye dawa bhi is marz ke lye boht shohrat rakhti hai. khawah marz had ho ya mazman ye har 2 sorton me mufid amal karti hai. bachon ke dama me is dawa ki ek khorak de ka roper bayan karda dono dawaon me se koi dawa istamal karni chahye.
30 or 3x taqat ki adoya din me 3 martaba 200 taqat ki adoya din me ek martaba or un se onchi tqat ki adoya hasbe zarorat ya mahir physician ke mashware se istamal karni chahye. Tamam adoya (qatron ki shakal me) 5 qatre per khorak ek ghont pani me dal kar istamal ki jati hain jab k mother tinctureya Q ki alamat se zahir ki jane wali adoya ko per khorak 10 se 15 qatre 2 ghont pani me dal kar istamal karna chahye. Biochemic adoya ko 4 goli per khorak din me 3 martaba zaban pr rakh kar chos kar istamal karna chahye. 

Dama Control Test

Mudarja zel test (12 sal ya is se zaid umar ke afrad) dama wale marizon ko in ke dama pr control ka jaiza lene me madad de sakta hai. apne nataij ko apne mualij ko zaror bataen ta k wo aap ke elaj me mazid behtari la sake. Is test ke doran aap ne 5 sawalat ke jawab dene hain har saal ke smne 5 jawab likhe gae hain aap ne intehai deyanatdari se apna jawab muntakhab kar ke us ke numbers ko alehda note kar lena hai.
Q :1 guzishta 4 hafton ke doran aap ke marz yani dama ne kitna waqt aap ko office, school, collage, ya university ya ghar pr kaam karne me rukawat dali hai?
Jawab:                                                                 
Tamam waqt                   1
Zyada tar                        2
Baz oqat                          3
Kuch waqt ke lye             4
Kisi waqt bhi nahi             5
Q:2
guzishta 4 hafton ke darmiyan kitni martaba aap ko sans me tangi mehsos hui?
Jawab:
Din me ek se zaid martaba          1   
Din me ek martaba                      2      
Hafte me 3 se 6 martaba             3
Hafte me 1 ya 2 martaba             4    
Bilkul bhi nahi                              5

Q:3 guzishta 4 hafton ke darmiyan kitni martaba aap ke marz yani dama ki alamat (sans me khar kharahat, khansi, sans me tangi, sine ki jakran or dard ) ne aap ko rat me ya subha mamol se pehle jagaya?
Jawab:
Hafte me 4 ya zaid raten   1
Hafte me 2 ya 3 raten       2     
Hafte me 1 bar                  3
1 ya 2 bar                         4        
Bilkul bhi nahi                    5
                
Q:4 guzishta 4 hafton ke doran aap ne apna emergency inhaler kitni martaba istamal kya?
Jawab:
Din me 3 ya zaid martaba            1         
Din me 1 ya 2 martaba                2     
Hafte me 2 se 3 martaba             3            
Hafte me 1 martaba ya kam        4         
Bilkul bhi nahi                              5
           
Q:5 Guzishta 4 hafton ke doran aap apne dama ke control ko kya darja den ge?
Jawab:
Bilkul bhi control nahi            1  
Bura control                          2    
Kuch control                          3             
Behtar control                       4     
Pura control                          5               

Nataij:

Tamam sawalat ke jawabat ke hasil karda score ko jama Karen. Agar aap ka hasil karda total score :
    1. 25 hai to aap ko apne marz pr pura control hai.
    2. 20 or 24 ke darmiyan hai to aap thek hain lekin aap ka marz mukamal control ke zamre me nahi raha ja sakta
    3. 20 se kam hai to aap thek nahi hain is silsile me aap apne mualij se fori tor pr mashwara Karen.
Tambaco noshi, fizai alodgi tez khushbu, sparay or rang ke bukharat wo zarat hain jo phephron ke khalyat or sans ki opri nail me sozish paida kar sakte hain. Tambaco noshi boht zyada sozish paida karti hai or dama paida karne ka mojib hai. homeopathic tariqa elaj ke tehat tambaco noshi chorne ke lye khasosi adoya hoti hain jo k mariz ki is bad adat ko churane me mawon hoti hain. Tambaco se mutaliq mazid tafsilat or is sabab lahaq awariz ke elaj ke lye musanif ki kitab “tambaco noshi” mulahiza farmaen.

No comments:

Post a Comment