Saturday, November 29, 2014

Ganjay pan ka 100% ilaj

Ganjay pan ka 100% ilaj 

ganjay pan per baal he baal.. . 
ager app ganjay ha our app ka baal gir gay ha tu app ka ya baal dubara aa sukty ha.. app jamal gota lay kar us ka oil nikal lay us ko us jagha per lga lo jahan baal nai ha yaad rahy app oil lagany say phaly jild per 2 ya 3 baar blade lage lia jay..

Monday, November 24, 2014

Skin Care in Winter in Urdu | Mausam-e-Sarma mein Jild ki Hifazat

Skin Care in Winter in Urdu | Mausam-e-Sarma mein Jild ki Hifazat
Skin Care in Winter in Urdu:
How to protect skin in Winter,How to get ride of skin problem in Winters in Urdu,Best Tips for Skin in Winter Season,Kes trah se sardiyoon mian jild ko pachaya jayee,get tips free
Winter season is that time of the year when you need to be extra careful about your body. Many people bring uncomfortable dryness to the skin of the face, hands, and feet. Avoid skin products and hairstyling products that have a high alcoholic content. Always use warm water for bathing because hot water will dry out all the moisture in your skin and will make all your skin more rough and dull. Almond oil is a wonderful natural moisturizer for all skin types apply your body before take bath, it keeps the moisture locked in the skin and prevents drying or any break-outs. Never go out in the sun without wearing the sunscreen. More detail read in Urdu.
  Mausam-e-Sarma mein Jild ki Hifazat : 
Sard mosam baaz logon ke liye naqabil bardasht hota hai, khushk sard aur tez hawayein, barafbari jild ka khushk hona waghira is mosam ki takleef dah ho jati hain. Kahs tor par hont aur eri waghira is mosam mein buri tarah mutasir ho jati hai aur agar aap kisi bimari mein mubtila hon to surathal mazeed kharab ho jati hai hai.Mosame sarma mein jild ki hifaza ke liye in baton ka kheyal rakehin: Mosam sarma mein jild ki khuski aur kharish se mehfooz rehne ke liye zaroori hai keh buhat ziadah garam pani se ghusal na kia jaye. Jawanon, khawateen aur bachon sab ko neem garam pani se ghusal karna chahiye. Ghusal se pehle kisi ache oil ka masaj karna jild ke liye acha hai aur ghusal ke baad jism khushk karne ke baad kisi ache moisturizer ka istemaal jild ko taro tazah kardeta hai. Mosam e sarma mein old age ke logon ko chahiye keh aik do din chor kar ghusal karein aur ghusal ke baad koi acha moisture jild par laga lein. Kharish ke elawa khushki sard mosam mein be had pareshan karti hai. Khas tor par sar ki balon se nikal kar aankhon ki eye brows aur ears ke andar tak pheil jati hai aur in mein hone wali kharish mareez ko be chein kar deti hai. In marizon mein hone wali khushki ko sirf anti dandruff se door nahi kia jasakta balkeh is ka mokammal ilaaj karna nehayat zaroori hai jo kisi mahir amraz jild se karana chahiye. Jin khawateen ki jild khushk ho to inhein tez khushboo wale sabun se chehrah bar bar nahi dhona chahiye balkeh is ke liye moisturizer base sabun ya face wash ka istemaal ziadah sood mand hai isi tarah chikni jild ke liye cold cream ka istemaal munasib nahi. Aisi jild mein qudarti zariya se moisture punchaya ja skta hai. Jaise coconut oil ka masaj chikni jild ke liye nehayat umdah hai. Raat sote waqt achi cold cream lagana aur din mein kisi ache lotion ka istemaal jild ko taza aur khushki se pak rakhta hai. Isi tarah ache moisturizer ka istemaal baron se le kar chote yani nozaidah bachon tak par kia jasakta hai. Jo log namaz pabandi se parhte hain. Agar woh har wazoo ke baad chehre aur hath paon par koi acha sa moisture jitna marzi lagana chahein laga sakte hain, is se koi noqsaan nahi hota. Sardiyon mein yeh bhi deka gia hai keh wooly kapron ka istemmal jism mein kharish paida kar deta hai. Aisa in logon ke sath ziadah hota ha, jin ki jild nazuk aur hassas hoti hai to aise afrad wooly kapre pehnne se pehle cotton ke kapre maslan cotton ki tee-shirt aur pajama pehn lein aur is ke baad oper se wooly kapron ka istemaal karein, is tariqay se kharish aur jild ki degar bimaryon se mehfooz raha ja sakta hai. Sardiyon mein khushk hawayehin insani jild par buhat ziadah asar andaz hoti hai. Sard aur khusk hawayon ke sath hi hath peron aur chehre ki jild phatna shuru ho jati aur in par mojood nami ghaib ho jati hai. jis ki wajah se khurdura pan numayan hota hai. Sard mosam mein jild ko taro taza rakhne ke liye zaroori hai keh saaf pani ka istemaal barha dia jaye. Winter season mein malte sangtare gajar, mooli aur degar mosami phal aur sabziyon ka istemaal jism mein pani ki kami ko poora kardeta hai, jis ki wajah se jild mein nami mojood rehti hai. Mosam e sarma mein jild ko khushki ka samna hota hai. Khushk mosam aur sardi ki wajah se chehrah be ronaq sa dekhayi deta hai. Agar mosam e sarma mein rozanah aik glass doodh mein do se teen chamche shehad mila kar pi lein to aik to chehra ki ronaq bar qarar rehti hai aur doosra khushk mosam chehrah ki jild waghira ko mutasir nahi karta aur chehre ki khoobsurti mein izafa ho ta hai.

Skin care Tips in Urdu | Jild ki aqsaam or elaj

Skin care Tips in Urdu | Jild ki aqsaam or elaj
skin in Urdu :
 Jild ke bare mein amuman yeh tasur aam hai keh yeh jisam ki khaal hai jis ne pure jism ko dhanp rakha hai. be shak jild jism ka ahum hissah hai. hamare andaruni nizam ki hifazat ke liye qudrat ne ise is tarh ba-tor hifazati deewar design ki hai keh bahir ke infection ya germs andaruni aaza ko mutasir na kar sakein. Yeh hamein na sirf mukhtalif bacteria se bachati hai balkeh jism ke darjah hararat ko bhi etedaal par rakhti hai. Agar aisa na ho to sardiyon mein insane thand se yakh bastah aur garmiyon mein jhulas kar rah jaye . Yahi jild degar afyaal ke elawa sans lene mein bhi madad gar hai.
  skin or Jild ki aqsaam:
 Insani jild teen aqsaam par mushtamail hai. chikni, khushk aur motwazan aur teenon hi khaas dekh bhal aur towajjah chahti hai.
  Chikni jild:
yeh khushk aur motwazan ya makhloot jild se behtar hoti hai lekin had se ziadah chiknayi is jild mein kale dane, mail (durty), jhurriyan aur degar masail paida kardeti hai. Is jild ki sab se achi baat yeh hai keh dhoop aur hawa is par asar andaz nahi hoti. No umer larke larkiyan ki jild aam tor par chikni hoti hai aur inhein is ki safayi ka khaas kheyal rakhna chahiye. Is ki wajah yeh hai keh gard-o-ghubar chikni jild par jam jata hai. Agar is jild ki safayi ka khas kheyal na rakha jaye to mosamaat band ho sakte hain aur band hone ke baad kale daanon (Black Heads) ki surat, chehre aur badan par zahir ho kar bad numa bana sakte hain. Chikni jild ki hefazat ke liye aisi ashya, istemaal karne chahiye, jo jild ko khushk karne ki salahiyeat ki hamil hon, ya jin se jild mein khechao ya khushki paida ho. Maslan chikni jild wale logon ko roghanyat se monh haath dhone ke bajaye sabun aur pani se dhona chahiye. Daagh ho jayein to in ke khatme ke liye medicine aamez sabun istemaal karein, jo mahir-e- mualij jild ke masware se muntakhab kia jasakta hai. band masamat kholne ke liye bhap, khas tor par chikni jild ke liye behtareen elaaj hai. Agar chikni jild ko tawazan ki halat mein lana hai, to ghiza mein bhi tabdili zaruri hogi. Khas tor par muraggan aur tale huye khanon se munh morna hoga aur sabz tarkariyon (sabziyon) ka istemaal barhana hoga. Kuch sabziyan maslan khira, kakri, carrot, muli, leman, aur tomato kachi surat mein khana be had faidah mand hai. dahi ka istemaal bhi behtareen hai, isi tarah khane , ghee ke bajaye cooking oil mein pakayain to behtar hoga.
  Khushk jild:
 Khushk jild se nami khatam ho jaye, to jild khushk hojati hai. sardiyon mein bhi faza mein khushki barh jati hai, jis se khushk jild wale be had mutasir hote hain, in ki jild jagah jagah se phat jati hai, jis ki wajah se hath, payon khas tor par, chehre bad numa dekhayi dene lagta hai. khusk jild ki hifazat ka ahum asul intehayi ahtiyat hai yaani jism mein jo bhi thori buhat chiknayi baaqi rah gayi hai ise zaya hone se bachana chahiye. Dekh bhal mein zara si bhi kotahi ka nateejah jild par daagh dhabon ki surat mein zahir ho sakta hai. khushk jild ko chiknayi bahum punchane ke liye din mein do teen bar aisi cream ya lotion lagayain jis mein chiknayi ki moqdar ziadah ho, isi tarah dhoop mein ghumne phirne se parheiz kia jaye. Pighle huye butter mein doodh mila kar lagane se bhi khushk jild mein narmi-o-molaimat layi ja sakti hai. khushk jild wali khawateen, make up karne se pehle jild mein nami lane ke liye koi acha arq istemaal kar sakti hain. Khushk jild ka aik faidah yeh bhi hai keh chehra keel, mahason se bacha rehta hai lekin jild ki munasib dekh bhal na ki jaye, to chera be ronaq aur rukha phika ho sakta hai.
  Motwazan Jild:
Jild hamare jism ka ahum hissah hai is ki hifazat ka pehla asool to yahi hai keh ise kam se kam chera jaye aur is ki khas dekh bhal bhi ki jaye . Ache sabun aur lotion ka intekhab kia jate. Bazaar mein dasteyab ziadah tar sabun chemical aur khushbu wale ijza se bane hote hain, jo jild ki sehat ke liye kisi bhi tor faidah mand nahi. Sabun hamesha wo acha hai, jis mein chemical ke ijza, na hon ya nehayat kam hon, kiun keh aisa sabun jild ko noqsan nahi punchata. Jin khawateen ki jild khushk ho to inhain aisa sabun istemaal karna chahiye, jis mein glasreen ki moqdar ziadah ho takeh jild ko chiknayi mayassar aasake. Isi tarah, sabun ke jhag bana kar ziadah der tak malna nahi chahiye. Behtar tareeqah yeh hai keh sabun munh par laga lia aur halke hathon se cherah achi tarah pani se dho lia. Isi tarah sadah pani ke chinte munh par marne se jild ke niche ki rawani behtar hojati hai aur chehre par nikhar aata hai. Chehre ko kabhi bhi towel se ragar ragar kar saf nahi karna chahiye. Din bhar mein 5, 6 bar pani se munh hath dhone se qudari chiknayi zaya nahi hoti. Jo log pabandi se panch waqt ki namaz ada karte hain, to panch bar wazu karne se bhi in ki jild ki qudarati chiknayi bar-qarar rehti hai aur in ki jild saaf, shafaf aur nikhri rehti hai. aise logon ka cherah tar-o-taza hota hai aur chehre ka husn apni jagah alag hi dekhayi deta hai.

Skin care Tips in Urdu | Jild ki aqsaam or elaj,skin care tips for winter, sardiyoon mian jild ki hifazat, get fair skin in 7 days,rough skin in winter,dry skin in winter,cracks on skin,